We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Sikandar Ka Mandar

by Sikandar Ka Mandar

/
  • Streaming + Download

    Includes high-quality download in MP3, FLAC and more. Paying supporters also get unlimited streaming via the free Bandcamp app.
    Purchasable with gift card

      name your price

     

1.
Teri baato ko sun sun kar mera dil bhar agaya, par idhar khara hoon, is neendh say uth, kyun idhar khara hoon? Socho meray yaar. Mujh ko milli kitni naymatain par sochta nahi, kyun idhar khara hoon? Khubsoorat imtihan, Kyun idhar khara hoon? socho meray yaar. Mein pagal ho chuka hoon, mein kidhar sar jhukaoo? mein kidhar tujh ko dhoondo? is aag mein. Meinay khayee kitni jhooti qasmain phir bhi tu bola, meray paas aao! in ko chhor meri jaan, meray paas aao, socho meray yaar.
2.
Badshah 03:59
Keh Agaya Hai Phir Say Badshah, Sab Log Sun Rahay Hain, Ga tay ja, Keh agaya hai phirsay Badshah. Aao mil kar kaaynaat kay raaz bataoo, raaz bataaoo, jungalon mein kya seekha hai aa samjhaoo, aa samjhaaoo keh kaun hain hum aur kya maqsad hai aa bataoo, aa bataoo, aa bataoo, maula mera maula mera-hum ko baksh do hum samajhdaar nahi, humko baksh do hum gunaahgar nahi
3.
Jo Bhi 04:09
Nahi Samajh sakay yeh sahafiyo ka naya zamana, Jo kamzor nikla uska hi tou ghar hai jalana, Baray majboor hain woh jinho nay such ko nahi apnaya, baray majboor hain hum mehnat say kya kuch nahi paya, Jo bhi. Teray liyay hum mar gaye andhay ho gaye ho kya? apnay junoon say dartay ho kyun-agaye ho phir yaha? tou hai aisi husti jo dhalti nahi, kyun ho gaye ho bekhuda? aur teray liyay yeh duniya bani-pagal ho gaye ho kya? Moti kitaabain parh kay hamnay apni ruh ko banaya, jitni behes karlo utna dil ko chain nahi aaya, motay alfaazo say tum hukoomat ko pata suko gay par in sahafiyo ko asliyat dikha na suko ga. Jo bhi. Meri soch kay mutabik hum kissi say kam nahi hain meri soch kay mutabik mein kisi say kam nahi hoon meri soch kay mutabik..
4.
Bhai Jan 02:00
5.
Ammi ammi- mujhay chhoraingay nahi, inki aankho mein jo chahat hai woh asli hi nahi, Kami kami- imaandaro ki kami, hum insaan hain par pakay sachay musalman nahi, Kya hai khyaal? Ab rona hai bekar! In keemato say kuch na sabit hoga meray yaar- Hum musalman nahi. Kya hai khyaal? Ab rona hai bekar! In nafrato say kuch na sabit hoga meray yaar- Hum musalman nahi. Doosri Duniya keh musafir hain yahan, Samajhnay say pehlay apnay aap ko samjho meray yaar. Kya hai khyaal? Ab rona hai bekar! In masjidon aur mandiron mein kya seekh rahay hain yaar? Hum musalman nahi!
6.
Doosray Log 04:04
Doosray logo kay baaray mein baat karna fazool hai yaaro, Achay log woh hain jo doosro mein achayee dekh paye na, Meinay bhi in sab say eik sabak seekh liya hai yaaro, Chughal khori aur sayasat say tujh ko kya millay ga? In logo say na ho khwar, in logo ko kuch pata nahi.
7.
Kaisay kaisay log hain hum? meri jaan dekho na martay hain tou martay dain hum, dekho na! Bhool jaye gay hum tum yeh woh, Doob rahay ho terna deekho afsos hai keh tum woh ho jo kar sakay kamal. Kaisay kaisay log hain hum? meri jaan dekho na Sitaro mein Hain mehfil teri, dekho na! Do Dino mein mar jao gay, Yeh dost nahi khilonay, Par farq gai keh hum dono ki ulti hai zaban, Mar jao gay x4 Bhool jai gay hum tum yeh woh Doob rahay ho terna seekho afsos hai keh tum woh ho jo kar sakay kamal.
8.
Bemisal 02:55
So kar uth chukay hain nawjawan, Raag ban gayee meri zaban, Sajda kar liya maghrib kay orr, Par maan gaye panchhi ka zor! yeh log nafraton say lutf andoz kyun na howay? Saath saalo say hai yeh nizam, hum bhool gaye apna kalaam, Apnay kutton ko sambhal do, Aur kitna hongay hum badnaam?? yeh log nafraton say lutf andoz kyun na howay? Maula maaf kar mujhay maaf kar mein Sikandar hoon mujhay maaf kar Dekh tamasha chalta ban kay aaya zamana harkat ka.

credits

released June 10, 2013

license

all rights reserved

tags

about

Sikandar Ka Mandar Karachi, Pakistan

contact / help

Contact Sikandar Ka Mandar

Streaming and
Download help

Report this album or account

If you like Sikandar Ka Mandar, you may also like: